In conversation with ‘THE INDIAN TIGRESS’

SportifiedIn conversation with ‘THE INDIAN TIGRESS’

In conversation with ‘THE INDIAN TIGRESS’

Siddharth Pandey

Hello everyone, welcome to Sportified. The year 2004 Athens Olympic Games was the first time when women were allowed to compete in the wrestling event at any Olympic games since then one family has become synonymous with women’s wrestling in India. Yes you have probably guessed it by now im talking about the Phogats and you have probably seen the film as well, Dangal. We have on our show today one of the Phogat sisters it is Ritu Phogat we will be talking to Ritu about slightly different career choice that she has chosen for herself why did she do that, her rivalry with her cousin Vinesh Phogat who is all poise to get a medal in Tokyo some days from now, we will be talking to her about our chances other wrestlers in Tokyo, we will be talking about her last bout which she unfortunately lost her future in the MMA, The Future of Akhada wrestling in India covids impact on it and much much more. So Tune in and have a good one.

Siddharth Pandey

Swagat hai sabhi ka Sportified k ek naye episode mein ji haan mein hun Siddharth Pandey mere saath hai Siddharth Kher. Humare saath hai aaj ek bohot Khaas mehman. Ek aise parivar ki sadasya jiss parivar ko Bhartiya khel jagat mein aksar first family of Indian wrestling kahan jaata hai. Haali mein inhone apne ek naya safar shuru kiya hai, wrestling ko chod kar. Mixed Martial Arts mein aapna naam banane chali hai Ritu Phogat. Ji haan Ritu Phogat se aaj baat hogi mixed martial arts ke barein mein Tokyo Olympics ke barein mein, humare athletes ke barein mein aur Bhartiya wrestling ke barein mein toh aaye Mulaqat karte hai, baat karte hai Ritu Phogat k saath.

Siddharth Kher

Shuru karein Ritu ji

Ritu Phogat

Ji bilkul Siddharth Ji

Siddharth Kher

Thik hai toh sabse pehle mein toh yehi puchna chahunga ki ab jo khatm hua yeh jo We are One ka event uski aap ki puri journey obviously fight toh humi sabhi ne dekha

Ritu Phogat

Ji

Siddharth Kher

Ummm fight k baad humari baat bhi hui thi jab apne kahan ki aapko laga ki aap woh fight jeet chuki thi aur uss waqt aapko aisa lag raha tha jaise ki ek bura sapna chal raha ho, uske baarein mein bataye.

Ritu Phogat

Bilkul kyun ki merko matlab Mixed Martial arts merko zyada knowledge nahin hai aur mein matlab Mera experience bhi nahi hai iss game mein itna toh merko sirf maine itna sun rakha tha matlab jo jo bhi fighter hota hai woh kisko dominate karaiye rakhta hai usko matalab punch wagera karta hai toh bilkul wohi vijeta hota hai toh do round maine socha ki mein do round maine usko dominate kiya usko matlab kuch bhi koi bhi chance nahi kisi bhi cheez ka toh teesri round mein thodi thak gayi thi toh sochi thoda bohot mein defence karke mein thoda bohot defence karke woh karlu yeh round nikal du lekin phir bhi mere coach ne peeche se chila raha tha ki Ritu ek last takedown hai koi last take important hoga phir maine last k kuch dus -pandra sec mein ek takedown kiya aur woh kiya toh bilkul mein matlab referee aur unke judges k decision bilkul woh ek dum mein merko aisi hogaya ki mein yeh kya bura sapna sa hai aisa nahi ho sakta hai bilkul merko believe nhin ho raha tha ki match k baad bhi jab mein room par aayi merko believe nahi ho raha tha mein yeh tha ki mera match nahi hua yeh bura sapna hai matlab do teen din se mein woh cheez accept nahi kar paa rahi thi.

Siddharth Kher

Nhin humein dekh kar k bhi aise hi lag raha tha jaise apne kahan woh round apne I think anyone watched that fight sab yahi kahenge ki aapne dominate kiya jo aapne third round ki baat kare usmein haan par takedown was right at the end of that round bhale aap thak gayi thi usne thoda shayad dominate kiya hoga third round k pehle k scorecards bhi dekha jaye toh aap kaafi aage thi toh yeh suddenly kaise ghum gaya yeh sawal toh mere khayal se sabke dimaag mein raha hoga but Ritu Ji yeh bataye yeh MMA mein jaane ka journey yeh kaise matlab aapne kaise socha tha

Ritu Phogat

Bilkul Siddharth mein bataungi ki mein mein bohot pehle se iss sports ko dekhti thi Youtube pe dekhti thi matlab TV pe bhi nahi aate the yeh matlab mein Youtube pe hi mein dekhti thi matlab do hazaar baara tera mein iski video Khabib ki video dekhti thi mostly matlab kuch different lagata tha yeh game matalab kuch alag aur bachpan se hi matalab pata nahi mere dimaag mein kuch alag ki dimaag mein Thought rehti ki mujhe kuch alag karna hai jab wrestling time pe thi tabhi mein yehi sochti ki thi matlab kisi ka Asia mein gold nahin aaya toh mera aim wahi hota tha mujhe Asia mein gold lena hai Silver bronze woh toh sabhi ke paas hai toh mere bas hamesha se wahi tha ki kuch alag karna hai aur phir mein yeh sochti thi ki Mixed Martial Arts mein India se koi fighter kyun nahin hai kyun iss game mein koi champion nahi hai iss game mein toh bas sirf Evolve ne merko opportunity di mauka diya ki aap iss game mein karna chah rahe ho toh mein iss mauke ko miss nahin karna chahti thi kyunki uss time pe mera wrestling career top pe tha lekin mera interest iss game mein matlab jyada tha isliye mein bilkul maine issi ko chuna.

Siddharth Pandey

Ji Ritu maine aapke Pitaji ka interview dekha tha ek Mahavir Singh unhone kahan tha ki Geeta aur Babita se zyada talent iss ladki mein hai woh aap ke baare mein baat kar rahe the obviously toh mere do sawaal hai ek ki aapne yeh faisla liya ki mujhe ab ek Mixed Martial Arts fighter Banana hai wrestling chod kar mein mujhe apni ek raha banani hai ek naya marg pe chalna hai toh unki kya prakriya rahi thi unki kya prakritiyan rahi thi thik hain unhone aapko Support kiya kya woh thode niraash the aur dusra mera jo sawaal hai woh aapne Khabib ka naam liya jo mere MMA k itihaas mein sabse mahan fighteron se unka naam liya jata hai woh Russia k ek jagah se aate hai Dagestan se ji wahan k wrestling se hi fighters chalu hote hai woh sab wrestlers hote hai uske baad MMA fighter bante hai UFC mein jaate hai wagera wagera toh aapki journey hai woh bhi inhi k tarah hai aap wrestler the pehle phir fighter bane ho aap MMA Fighter. Wrestling se MMA fighter banane ke liye sabse badi Chunauti kya thi apke liye aur uss chunauti pe aapne vijay kaise prapt ki

Ritu Phogat

Bilkul jab mein matalab mein Mixed martial arts mein aane ka jab decision liya toh maine sabse pehle baat apni badi behno se hi ki thi toh unhone toh thoda bohot bola tha ki starting mein dekhle abhi Olympic bhi hai aur pure desh ki hope hai tere pe maine bhi unko samjhaya ki yeh opportunity aayi yeh mauka aaya toh mein isko miss nahi karna chahti toh behno nehi Papa se baat ki thi Papa ne bhi bilkul pura support diya matlab ek baar bhi mana nahi kiya ki bola ki tera iss game main interest hai to yeh matter nahi rakhta tu game kya kar rahi hai matlab apne Desh ka naam Roshan kar humain uss cheez se koi farak nahi hai tu wrestling kar rahi hai ya Mixed martial arts kar rahi hai bilkul Papa ka pura support tha iss cheez mein aur jab mein wrestling se Mixed martial arts mein aayi toh mujhe jyada difficulty Toh nahi hui lekin thodi technique ko ka different tha aur Mixed Martial arts mein dekhe toh Agar hum top k fighter dekhte hai toh wrestler hi hai background wrestler hi hai toh bilkul yeh mere liye ek matalab acha benefit tha mere liye aachi woh tha ki mein wrestler hun aur mere liye takedown karna Mixed martial arts acha woh mil gaya.

Siddharth Pandey

Ji Ritu aap jab aap MMA Fighter bani toh aap jaise aap jab Wrestler thi aapka aim tha ki mein Desh ke liye pratinidhwa karungi Olympics mein medal lekar aaungi aapne Olympic ka tattoo bhi banwaya aapne motivate karne ke liye toh aap abhi MMA mein aayi hai ab aap ka ek hi Laksh ki mein World Champion banu India se pehli World Champion banu MMA mein aapko kya lagta hai ke andaaz se uss lakshya se kitne paas ho aur kitne dur ho aur aap filhal kahan ho.

Ritu Phogat

Bilkul mein matalab dekh rahi hu ki matalab mein matalab mein chahti hun ki mein top ki jo bhi agreement jo bhi top ki fighter mein unse fight le lu taaki mein jitne bhi aache fighter hai fighter se fight lelungi toh mujhe apne yogyata uss cheez mein pata chalega matlab kitni meri progress hui hai aur uss cheez se mujhe seekhne bhi milega lekin mein mentally mein matalab apni hard training ko dekhkar kaun toh mein filhaal uss uss belt k ladne ke liye tayar hun mein bilkul tayar hun bilkul mere hard training se sab kuch kisi se mein overconfidence se nahi keh rahi lekin mere mein confidence hai ki haan mein kisi se saath matalab ladne ke liye tayar hun

Siddharth Kher

Rituji kya hum rematch dekhengay aapka aur Killer bee ka

Ritu Phogat

Bilkul mein toh chahti hun One Championship yeh bilkul matlab agar kisi ko kisi ko doubt hai ek baar bilkul zaroor karwaye woh cheez mein dikha dungi ki maine jo galti maine iss match mein ki woh Bilkul judge jo pe woh cheez bilkul nahin chodungi nahi toh maine bilkul chahti hun ek baar ho jaye match.

Siddharth Pandey

Ji Humein toh pura yakeen hai aapke Kabiliyat par kabhi shak tha nahi iss par toh humari Sportified team ki taraf se toh aapko All the Best hum ji haan look forward kar rahe hai ki aap kab Killer Bee ke saath rematch ho hum usse dekhe magar Ritu mein thodasa background mein jana chahunga jab aap MMA Fighter bani toh shayad yeh bhagya ki baat thi muqaddar ki baat thi ki ap ki pehli debut fight jo thi woh uss desh mein thi jahan par aapke parivar par banaye gaye film mein saare record tod diye the mein China ki baat kar raha hun jab aap China gayi uss pehle match par pehle bout ke liye toh kya mahol tha aapke dimag mein kya chal raha tha crowd ki taraf se aapko kitna pyaar mila kaisa mahol tha uske barein mein humein kuch bataye aap ka yeh safar ki pehli bout thi kya din tha woh kya mahol tha kaise tha?

Ritu Phogat

Bilkul woh cheez matlab mein matlab kafi khush thi mera matlab Mixed martial art mein pehla match hai aur China mein ho raha hai matalab wahan pe itne fans the matlab kuul matlab ek Family jaisa ghar par jaise woh ho raha tha ki mein apne desh mein ladh rahi hun toh bilkul wahan ke logon ka sport woh cheez bohot media woh cheez merko kaafi motivate kiya aur mein kafi excited thi mere first match ko lekar aur maine ring mein jakar aur merko yehi tha ki maine ring jo bhi seekha wahan par jaa kar apna 100 dena hai aur wahi kiya lekin but first match maine merko punch bhi chalane nahi aate the aur mein takedown ke baad bhi agar aap dekhenge toh takedown ke baad bhi mujhe nahi pata tha ki punch marne hai woh bhi beech mein jo corner man the unhone chilaya ki punch Ritu punch tabhi maine jaa kar thode punch kiye bilkul first match mere liye bohot hi jyada matalab kaafi aacha raha.

Siddharth Kher

Rituji ek fight ke pehle jo apka mindset hota hai jab aap log room mein hote ho phir aap ko kahan jaata ki workout ke liye itna time raha hai uss woh dressing room se leke Cage tak pahunchne ka jab jo samaye hota hai what is the mindset kya preparation hota hai kya sochte ho ya aap kuch nahi sochte ho jab aap bahar chalte ho mere khayal se ek baar Rehman saab ka Maa Tuje Salam I think was playing aap kafi emotional act matlab woh walk mujhe abhi tak yaad hai aapka

Siddharth Pandey

Aur woh song inhone select kiya tha

Siddharth Kher

Correct to yeh saare jo matalab ek woh room se cage tak woh jo ek chota sa walk hota hai us mein kya chalta hai ek fighter k dimag mein

Ritu Phogat

Mein aapne batati hun main matlab us time pe mere dimag mein matlab kuch bhi koi negative thought nahi aane deti hun main, mein apne aap ko maine matlab maine iss din ke liye apna hard work kiya hai aur aaj mera din hai mujhe matalab sabko prove karna hai ki haan i’m mein sabse achi hoon aur matalab mujhe ring mein jaakar bilkul woh cheez dikhani hai toh bilkul mere dimag mein bas yehi rehta hai ki mein sabse best hun aur mujhe wahan par jaa kar dikhana hai matalab ki kya maine kya practise ki hai mehnat ki hai aur woh sabko mein dikhaungi abhi

Siddharth Pandey

Ritu waise toh MMA Bohot hi matlab bohot tough event hota hai woh toh hum sab jaante hi hai magar apne kaha tha ki aap ki pehli bout hui thi toh maine ek interview dekha tha aapka aur us pehle bout k dauran apke pehli jo bout thi aapke parivar wale TV dekh rahe the aur us bout pe jo unhone dekha unka dil behel gaya aur aapki bout dekh nahi paye obviously aapke prati unka pyaar aur bhavnaye judi hai beti ho aap Mahavir Singh ki Geeta aur Babita behen hai apki Maa dekh rahi thi toh kya woh aap overcome kar paye kya apke bout abhi dekh paate hai kyunki MMA ek matalab wrestling and MMA mein kafi antar hai jaise apne kaha aapne takedown kar liya tha aapko pata nahi tha aap ko punches lagane hai jab tak woh tapout nahi karte toh jo woh drishya jo hai kafi violent hota hai woh aur koi sport mein dekhne nahi milta na boxing mein na wrestling mein hala ki woh contact sports hai toh kya apke parivar ke sadasya ab apke bout dekhte hai aur aap ko jeetaye aur harte hue dekhte hain woh kya matlab kya bhavnaye hai apke parivar ke

Ritu Phogat

Ji Ji bilkul abhi matalab dheere dheere woh cheez dekh kar bilkul woh cheez bilkul aadat ho gayi maine bhi unko samjhaya ki matlab bolte hai ki dangerous game toh mein unko samjhati hun dangerous kuch bhi nahi hai injury har game mein hoti hai toh hum us cheez ki practise karte hai hume us cheez se bachna bhi aata hai aur woh sikhaya bhi jata hai toh aisa is mein kuch nahi hai lekin abhi sabhi dekhte hai matlab match ke pehle ki konsi TV konse channel pe ayegi humein batana toh bilkul dekhte hai.

Siddharth Kher

Ritu Ji abhi kuch do mahine bache hai takriban Olympics ke liye hum aapse janana chahte hai ki aap kya sochte iss saal hamara jo Indian Olympic ka jo Team hai aapki kya rai hai un pe.

Ritu Phogat

Bilkul Siddharth Ji mein batana chahungi ki matalb abhi matalb India mein matlab bohot jyada matlab Khiladiyon ko bohot jyada support mil raha hai bohot zyada sponsorship mil rahe hai toh bilkul sabhi bohot hard work kar rahe hai toh abhi aap dekhenge toh wrestling kitni improvement ho rahi hai kitni upar jaa raha hai humare aath (8) khiladi Olympic mein select hai toh bilkul sabhi bohot mehnat kar rahe hai aur mein unka match dekhti rehti hun abhi maine qualifying mein bhi dekha tha abhi SA Championship mein bhi dekha tha toh bilkul sabhi matlab kyon ki bahut sare sponsorship mil rahe hai bohot saari help mil rahi hai Government ki taraf se toh woh cheez kafi achhi hai matlab khiladi bhi motivate hota hai aur kuch karne ka bhi mann karta hai toh pehle yeh pehle yeh tha ki mujhe matlab Olympic mein qualify karna pehle soch itni thi ek dumse Geeta ne Olympic mein qualify kiya pahili mahila woh thi toh uske baad ladkiyon mein uske baad magar ladkiyon mein yeh agaya ki nahi yeh humein Olympic nahi Olympics se medal lekar aana hai toh abhi sabhi Olympics medal ki soch rahe hai bilkul abhi mujhe yeh lagta hai chaar ya panch medal wrestling mein Olympic mein ayengay mein dekh rahi hun jo mehnat kar rahe hai jo unki progress hai toh bilkul mujhe lagta hai ki abki baar Olympic mein wrestling mein chaar aur panch medal bilkul hai.

Siddharth Pandey

Ji Ritu aap hali tak wrestling mein puri tari ke se lage hue the toh mein iske pehle mein government aur sponsors ki aur aau mein, mujhe ek aur sawal karna tha aap se humare wrestlers ko lekar do wrestlers jinhone apne bohot aachi tarike se jana hai unko kareeb se dekha ek toh hai aapki cousin sister Vinesh aur do hazar soula mein aap Vinesh pure desh aape nazar thi aap dono par ki dono wrestlers jayenge Olympics mein humare medal lekar aayenge durbhagyapurn tha ki unki injury hogayi Rio mein hundred percent unka medal aana tha magar ab Toyko kucchi mahine reh gaye aur as Vinesh puri tarike se fit hai pure Desh ki ek baar phir se Phogat behen se umeed hai ki hamare liye medal ayega ek woh sawal hai mera ki Vinesh ki tayari ke baren mein humein aap kuch bataye kaise aap baat karte hai unse kaise chal raha hai medal aapko bhi umeed hai humein bhi umeed hai aur dusra mera sawal hai ki ek yuva wrestler Anshu Malik jo sirf uunees saal ki hai aur unki journey unki safar ko aap dekhogay toh woh Geeta se kaafi mail khati hai jaise Cadet World Championship is mein Geeta ne apana pehli baar naam kiya tha aur desh toh pata chala tha ki Geeta Phogat naam ki ek wrestler bas ab medal laane hi wali hai do saal baad Commonwealth mein aur pure desh ke nazar mein aa chuki thi Geeta. Toh Anshu Malik ka bhi aap safar dekhogay toh Geeta se kaafi mail khata hai toh in do wrestlers ke baare mein agar aap humein bata sake Vinesh ki tayari aapki relationship unke saath aap jante hai aur Anshu ke baarein mein bhi.

Ritu Phogat

Bilkul mein Vinesh se bataungi meri unse kabhi kabhi baatein hoti toh woh abhi matlab Hungary mein training le rahi hai out of country wahan par training le rahi hai bohot achi uski training chal rahi hai aur unhone matlab abhi matlab iss saal mein jitne bhi Tournament hai us mein Gold jeeta toh bilkul uska confidence level high hai aur bilkul woh abhi matlab khud bata rahi training bohot achi hai Olympic mein Gold lekar aayegi toh Gold se neeche bilkul woh nahi soch rahi hai toh bilkul mein bhi pura bharosa hai ki woh lekar aayegi jiss tarah se woh mehnat kar rahi hai jiss tarah se uska dedication hai bilkul woh desh ke liye Olympic mein Gold lekar ayegi aur bilkul. Anshu bhi matlab uski matalb jitne jaldi se woh matalab technique ko pakadti hai maine maine personally meine usne sirf ek hi baar mili hogi lekin uski video dekhti hun uske match dekhti hun matlab bohot hi talented hai to mujhe bhi matlab mein uski match dekh kar uski fan ho gayi aur mujhe kafi acha laga uska match toh bilkul woh bhi matlab matlab ab ki baar bilkul Vinesh ke saath saath woh bhi Gold lekar ayegi bilkul jiss tarah se uska wrestling dekh rahi hun uske matalab training dekh rahi hun jiss tarah se uska dedication hai itni jaldi se hai bilkul woh cheez woh bhi karegi.

Siddharth Pandey

Ji bilkul mein sehmat hun apke baat ke saath bohot hi ujwal bhavishya hai in dono ka Vinesh ka toh hai hi aur Anshu kabhi , dusri baat mujhe puchni thi Ritu aapse ki yeh do saal jo the yeh normal saal nahi the coronavirus ke joh vaishvik mahamari jo fheli hui hai uske chalte jaise hum Maharashtra se hai humari puri Sportified Team hum Mumbai mein rehte hai. Maharashtra mein sabse bada jo Khitab hota hai jo sabse bada pratiyogyata hoti hai Pahelwani mein woh hoti hai Maharashtra Kesari woh do saal ho gaye kharij hai woh pratig yota hui hi nahi toh hum jante hai ki wrestler jo hai May, August, September barish jab band hoti hai uske baad season start hota hai pure saal aap train karte ho pratigyota mein bhag lete ho jeete ho aapki motivation banti hai aap kuch paise kamate ho aur phir jab barish hoti hai toh aap phir apne kamiyon pe kaam karte ho phirse season mein jate ho jab yeh vaishvik mahamari aayi saarein tournaments kharij ho gaye na wrestlers ko pehlwano ko paise mil rahe hai na competition mil raha hai aap kaise dekhte hai ki ek yuva wrestler jo apko sun raha hai woh kaise apne aap ko motivated rakhe aur government aur sponsors jo mein keh raha tha kya aap ke hisaab se unhe aage aakar humari jo pehlwani hai jo pehelwan hai aur jo pratiygota cancel hue hai inhe aakar support karna chahiye pehlwano ko.

Ritu Phogat

Bilkul Siddharth Ji mein yehi khaungi matlab covid matlab pure India mein nahi pure world matlab iss cheez se jhul raha hai toh bilkul yeh sabhi ke liye bohot difficult time hai toh ek matlab khiladi ke liye yeh bohot hi mushkil hota hai matlab ek khiladi ke liye training hi sab kuch hota hai aur jab woh covid ke wajah se jab mein training nahi kar paati bilkul mein uss cheez ko samjh sakti hun maine bhi woh cheez dekhi hai toh yeh bohot hi difficult hota hai kuch kaam karna ho office ka kaam baith kar kar sakte hai ghar pe lekin hum training ek ek khiladi matalab training hi sab kuch hota hai aur jab woh khiladi training nahi kar payega bilkul woh mentally thodasa disturb ho jata hai woh dimaag mein bilkul aaj dekh rahi hun woh sunne mein bhi aata hai ki matlab bohot se khiladi sochte hai ab kya kare matlab unke dimaag mein negative thought aate hai toh

Siddharth Pandey

Ji Bilkul Ritu mein batana chahunga aapko jo Maharashtra mein jo gadh hai pehalwani ka Sangli, Kolhapur, Solapur yahan akhade bandh hone k kagar pe hai matlab aisi stithi aa chuki hai

Ritu Phogat

Bilkul mein Samjh sakti hun woh khiladi bhi matlab thoda negative kuch matlab negative thought aa rahe hai ki ab hum kya karenge ab toh humara kuch bhi nahi raha bilkul jo Dangalon se hai Dangalon se paise kamate the Dangalon se kuch karte the toh mein unko samjh sakte hun lekin abhi iss sabse reh kar milkar iss mahamari se imse covid se mahamari se sabko milkar ladna hai aur jitna bhi hai iss mahamari se bilkul uske baad sab thik ho jayega matlab Government se yehi kahungi jaise yeh cheez normal ho matlab agar kuch bhi humein hai guidelines mein akar agar kuch kar sakte hai toh bilkul aage aakar woh cheez karein Khiladiyon mein manobal badhta hai motivation milta hai aur woh thode positive rahengay toh unko yeh lagega ki kuch toh hai

Siddharth Kher

Ji ussi ussi topic pe rehte hue mein aapse ye puchna chahunga Ritu Ji ki personally aapka koi message humare young aspiring jo MMA join ya MMA follow karna chahte hai unko aap kya kehna chahengay. Unka aapke liye ek personal message jo aap unko aur encourage karein MMA join karein fighting ko follow karein

Ritu Phogat

Bikul mein jo bhi mujhe sun rahe hai jo bhi mujhe dekh rahe hai mien unn sabhi ko yehi kehna chahungi agar aap mixed martial art mein aana chahte hai toh bilkul aap issi game mein bindas hokar aaye lekin, agar aapne soch liya hai mixed martial art mein kuch karna hain toh bilkul aap bhi woh cheez kar sakte hain mein kar sakti hun koi aur kar sakta hai jo aapke favourite fighter hain mixed martial art mein toh bilkul aap bhi woh cheez kar sakte hai lekin pure uss matalab cheez mein dedication, discipline bilkul hard work bohot important hai toh bilkul aap jo bhi aap soch sakte hai bilkul woh aap kar sakte hai toh mein bhi puri koshish kar rahi hun ki matalab pure world mein kahin par bhi aache fighteron ka naam aaye India ke fighteron ke naam sabse pehle ho ki haan India mein best fighter hai.

Siddharth Pandey

Yahan humari bhi umeed yahi hai India mein sirf MMA hi nahi balki kushti mein bhi jo humara itehas hai woh issi tarike se aage badhe roshan itihaas ho hamara. Ritu aapki fight bas kuch din pehle hi hui thi mein jaanta hun aap rehab meon ho recovery kar rahe ho training aapki chalu hai magar iss beech aapne humein waqt diya Sportified ke Team ko waqt diya uske liye bohot bohot shukriya.It’s been a pleasure talking to you aur hum aap ko yakeen dilate hai ki aap jab tak uss one championship world championship ko nahin jeethete hum aapko nahin chodengay hum aapse baat karte rahengay

Ritu Phogat

Bilkul Siddharth mein bhi chahti hun aap bilkul bilkul mujhe iss tarah se matalb bilkul bohot aache questions hai mujhe bhi aap sabse baatein share karke kafi acha laga bilkul koi problem nahi hai your always welcome.

Siddharth Kher

Bas humara support aapke saath hamesha rahega Ritu Ji aur meine kal bhi aapse yehi kahan that ki jo aapko Sid ne kahan ki jab tak woh aap title nahin le aayegay hum toh bilkul taang karte rahenge

Ritu Phogat

Bilkul Bilkul Okay Siddharth Ji

Siddharth Kher

Jab aap woh Title jeetoge humara call tabhi aayega apko . Thank you Thank you so much Ritu Ji aapne humein waqt diya

Siddharth Pandey

Thank you Ritu,Aur Jahan bhi ho App Duniya mein humari duaaye aapke saath hai jahan bhi ho aap thik rahe surakshit rahe aur apna khyala rakhiye ga. All the best.

Thank you so much Ritu Ji aap log bhi sabhi apne dhyan rakhiye.
Siddharth Kher

Yes, Thank you so much,thank you.

Post a comment:

Comment

Type at least 1 character to search